Betaaj Badshah Famous Dialogue By Raaj Kumar, Shatrughan Sinha, Mukesh Khanna
Table of Contents
Betaaj Badshah Dialogue: Betaaj Badshah (1994) is an India multi star cast movie featuring Raaj Kumar, Shatrughan Sinha, Mamta Kulkarni, Jay Mehta and Prem Chopra on lead roles. It was a biggest hit movie of that time. Movie was released on 8th April 1994. Below are the list of all famous dialogue of Betaaj Badshah Movie.
Raaj Kumar’s Dialogue Lyrics In Betaaj Badshah Film
- Auron ki zameen khodoge, toh usme se matti aur patthar milenge … aur hamari zameen khodoge, toh usme se hamare dushmano ke sar milenge.
- Hum apne kadmo ki aahat se hawa ka rukh badal dete hai.
- Jab hum muskurate hai … toh dushmano ke dil dahil jaate hai.
- Aurron ki zameen sirf zameen hai … aur hamari zameen ek gardish.
- Hamari sultanat ki sadak … insaaniyat ki dehleez se shuru hokar, reham aur imaandari ke ilaake se guzarti hui … dil ke darwaaze par khatam hoti hai.
- Aaj kal ka ishq janamo ka rog nahi hai … waqti nasha hai shaam ko hota hai, subah utar jaata hai.
- Hum woh pandit hain … joh shaadi bhi karate hain, aur shraadh bhi.
- Aapne hamare haath mein taash kya de di … yeh samajhiye baazi de di.
- Jab hum kash lagate hai … toh hamare dushman gash khakar gir jaate hai.
- Hamari yaadash achchi bhi hai aur tezz bhi hai.
- Jab hum dushmano ka khayal karte hue apne paon neeche rakhte hai … toh hamare dushman maut ka tasavur karte hue zameen se upar uthne lagte hai.
- Khandaan, maan maryada, shaan-o-shaukat, rutba aur vakaar … sadiyo ki mehnat aur mushakat ke pasine aur zindagi ki kash-ma-kash ke baad banta hai.
- Nadi shokh, chanchal aur khoobsurat hoti hai … lekin badnaseeb insaan ki gandagi is mein behti rehti hai.
- Prithviraj woh tairakh hai joh nadi naale nahi … sailaabi dariya leharon se khelta hua paar kar jaata hai.