Once Upon A Time In Mumbaai Movie Dialogue Lyrics (All Hit Dialogue)
Table of Contents
Once Upon A Time In Mumbaai Famous Dialogues: Once Upon A Time In Mumbaai (2010) is an Indian gangster thriller Hindi film directed by Milan Lutharia and produced by Ekta Kapoor. Ajay Devgan, Emraan Hashmi, Kangana Ranaut, Prachi Desai and Randeep Hooda are on the lead role of the movie. Movie is abbreviated as OUATIM.
Once Upon A Time In Mumbaai (OUATIM) Movie shows the growth of Mumbai Underworld from different crimes and smuggling in early stages and its connection with international terrorism of recent time. It is based on the life story of Real-Life Gangsters Haji Mustan (Sultan – Ajay Devgan) and Dawood Ibrahim (Shoaib – Emraan Hashmi). Below are the complete list of all the famous hit dialogue collection of the movie.
Ajay Devgan’s Best Dialogue Lyrics in Once Upon A Time In Mumbaai
Main Un Cheezon Ki Smuggling Karta Hoon, Jinki Ijaazat Sarkar Nahi Deti … Un Cheezon Ki Nahi, Jinki Ijaazat Zameer Nahi Deta.
Dua Mein Yaad Rakhna.
Jinki Manzilein Ek Hoti Hai … Woh Raaston Par Hi Toh Milte Hai.
Hamari Tasveerein Kheench Ke Apni Dukaan Mein Laga Lena … Kabhi Zaroorat Pade, Toh Dono Mein Se Ek Bhagwan Chun Lena.
Jaise Tu Hua Tha … Upar Waale Ki Dua Se, Thodi Mehnat Se … Aur Bahut Sari Lagan Se…
Jab Dost Banake Kaam Ho Sakta Hai … Toh Phir Dushman Kyun Banaye?
Sooch Lo, Baat Khatam Karni Hai … Ya Kahani Shuru…
Joh Apni Maa Ki Izzat Nahi Karte … Main Unka Baap Bankar Aata Hoon…
Kashti Leharon Se Takrayegi … Toh Hi Kinaare Naseeb Honge.
Himmat Batai Nahi … Dikhai Jaati Hai.
Main Har Kaam Paise Ke Liye Nahi Karta.
Main Apne Kaam Karne Ka Tareeka Badal Raha Hoon … Tevar Nahi.
Joh Apne Beete Huye Kal Se Bhaagta Hai … Woh Zindagi Ki Race Kabhi Nahi Jeetta.
Waqt Bhi Kahan Badalta Hai … Sirf Guzarta Hai.
Aadmi Halaat Bighadane Ke Liye Burre Kaam Nahi Karta … Halaat Sudhaarne Ke Liye Karta Hai.
Chaukiyan Chahe Police Ki Ho … Shehar Ke Commissioner To Hum Hi Log Hai.
Isse Zindagi Se Zyada Apni Jeet Pyari Hai.
Ab Dekhna Yeh Hai Ki Aankh Milake Baat Karta Hai … Ya Peet Peeche Vaar.
Aaj Ke Baad Tu Sirf Wohi Bolega … Joh Main Sunna Chahta Hoon.
Kaam Aisa Karo Ke Naam Ho Jaye, Warna Naam Aisa Karo Ke, Naam Lete Hi Kaam Ho Jaaye.
Bachpan Koylo Me Gujra..Jawaani Kale Kaamo Me..Aankhe Bandh Karu To Sapne Kaaale..Aur Aankhe Kholu To Aanshu Bhi Kaale.
Mere Jaise Kapde Pehenke Tu Sultan Mirza Dikh To Sakta Hai.. Lekin Ban Nahin Sakta..
Jin Ungliyon Ko Ghode Ki Aadat Lag Jaaye, Un Mein Lagaam Daalna Mushkil Ho Jaata Hai..
Maine Shuna Hai Do Loog Mil Ke Ghar Bana Lete Hain…. Hum Jashn Nahin Mana Sakte..
Agar Humara Cabinet Politics Main Aa Gaya.. Toh Aapka Cabinet Kabadion Ke Bhaao Bik Jayega..
Jab Ghoda Langda Ho Jaaye.. To Sab Jaante Hain Uske Saath Kya Karna Chahiye…
Main Jo Kuch Bhi Hun, Apni Dhande Ke Baje Se Nahin.. Apni Faislo Ki Baje Se Hun..
Aur Yaad Rakhna Na Ye Birasaat Hai.. Na Khairaat.
Mantri, Abhi Tak Hum Itne Mamuli Bhi Nahin Hue.. Ki Kahin Pahanchna Chahen Aur Koi Rok Le..
Jabse Hosh Sambhala He.. Maine Kaam Hin Wahin Kar Raha Hun.. Jiske Izzazat Sarkar Nahin Deti..
Sultan Mirza Ka Naam Hin Kafi hai.. Samne Baale Ki Zabaan Hi Dapt Ho Jayegi.
Emraan Hashmi’s Famous Dialogue in Once Upon A Time In Mumbaai Movie
Aadmi Tabhi Bada Banta Hai … Jab Bade Log Usse Milne Ka Intezaar Kare.
Zindagi Ho Toh Smuggler Jaisi … Sari Duniya Raakh Ki Tarah Neeche Aur Khud Dhuen Ke Tarah Upar.
Sher Se Hal Chalaoge Toh Kisaan Toh Marega Hi.
Raaste Ki Parwah Karoonga Toh … Manzil Bura Maan Jayegi.
Mushkil Toh Yeh Hai Ki Main Abhi Theek Tarah Se Bigda Bhi Nahi … Aur Tumne Sudhaarna Shuru Kar Diya.
Joh Bistar Pe Zabaan Dete Hai … Woh Aksar Badal Jaate Hai.
Agar Dhanda Shanti Se Karna Hai Toh … Dhamake Toh Karne Hi Padenge.
Yeh Umar Sudharne Ki Nahi … Bigadne Ki Hai.
Supari Li Hai Toh Chuna Nahi Lagaunga.
Aaj Ka Kaam Kal Par Chhodonga … Toh Aaj Bura Maan Jayega.
Koi Bhi Dhanda Aadmi Ki Himmat Se Bada Nahi Hota
Is Khel Mein Joh Power Hai Na … Uska Nasha Hi Alag Hai.
Tumhari Baat Ka Jawaab De Diya … Toh Tumhara Sawaal Bura Maan Jayega.
Yeh Ghoda Hai Ghoda.. Bade Bade Zindagi Ki Race Haar Jaate Hain Iske Saamne… Iski Lagaam Jiske Haath Main, Power Uska Hai.. Ek Minute Main Ya Toh Baazi Palat Jaati Hai.. Ya Khelne Waala.
Baraf Ki Tarah Thanda Rehne ka Bi Kya Faida Sahab.. Thodo Der Akde, Fir Pighal Gaye..
Usse Upar Nahin To Usse Kam Bhi Nahin..
Meri Nazar Se Dekh.. Aisa Lagta Hai.. Kisi Aur Ki Mehbooba Apni Mutthi Main Aa Gayi Hai.. Muthhi Khul Gayi Toh Mehbooba Haath Se Nikal Jayegi.. Isse Masal Dunga Magar Nikalne Nahin Dunga..
Jo Bola Hai Oh Kar.. Dimaag Nahin Hai To Mat Chala..
Randeep Hooda’s Hit Dialogues in Once Upon A Time In Mumbaai
Insaan Ki Dukhti Rug Uski Har Taqat Se Badhkar Hoti Hai.
Gaadi Chahe Kitni Bhi Tezz Ho … Usse Rokne Ke Liye Ek Keel Kafi Hai.
Desh Se Wafaadari Kisi Ek Shaksh Se Gaddari Se Kahin Zyada Badhkar Hoti Hai.
Garam Joshi Achchi Cheez Hai … Lekin Agar Hadh Se Badh Jaye Toh Khud Ko Jalaa Deti Hai.
Gufaa Mein Andhera Kitna Hi Ho … Kinaare Pe Roshni Zaroor Hoti Hai.
Agar Kisi Cheez Ki Lat Pad Jaye … Toh Woh Lat Aadmi Ki Pehchaan Ban Jaati Hai.
Jurm Ke Raaste Kitne Bhi Makhmali Kyun Na Hoon … Khatam Toh Jail Ke Kambal Mein Hi Hota Hai.
Mujhe Train Ki Parwah Nahin.. Mujhe Patriyaan Saaf Chahiye…
Sultan Ne Chahe Kitne Gande Kaam Kiye Ho.. Par Usne Kabhi Sheher Ganda Nahin Kiya..
Jo Khud Nahin Pighalte.. Unhi Ko Pighlane Ke Liye Kanoon Bana Hai..
Kya Khaan, Atthara Saal Main Tunhe Kabhi Prasad Nahin Khaya.. Aur Aaj Bhagwaan Hin Badal-Li.
Kangana Ranaut’s Best Dialogue In Once Upon A Time In Mumbaai Film
Bachhpan Mein Kaam Karti Thi Toh Lagta Tha Sab Khel Rahe Hain.. Aur Aab Kaam Kar Raha Hun Kyun Ki Khelne Ki Umar Nahin Rahi.
Na Koi Superstar Aur na Hin Koi Jubilee Star. Mera Dream Man Oh Hoga Joh Saath Second Mein Mera Dil Jitle.
Jab Tak Tum Jaise Mard Jinda Hain.. Auraton Ko Aaram Kahan.
Yeh Mere Liye Aise Hai.. Zaise Tumhare Liye Wardi Pehenke Desh Se Gaddari Karna….
Pyaar Mere Liye Wafadari Se Badhkar Hai… (To Yahan Kya Kar Rahi Ho?) Zeena Pyar Se Badhkar Hai..
Other Famous Dialogue Lyrics Of Once Upon A Time In Mumbaai
Cheete Ki Raftaar Se, Ajgar Ki Pakad Se Aur Sultan Ki Dimaag Se Koi Nehin Bach Sakta Hai…
Nahin Sultan, Agar Hum Dhande Main Nahin Rahenge.. Toh Jin Logo Ke Gardan Aaj Tak Humare Samne Uthi Nahin, Unka Haath Humare Girebaan Par Hoga.. Uske Baad Dar Khatam.. Izzat Khatam. Kanoon Humare Piche Hai..
Gun Chalana Bahut Aasan Hai.. Lekin Use Sambhal Ke Rakhna Bahut Mushkil..
Zeb Khaali Hai Tera.. Aur Baaten Sultani Waali Karta Hai…
Tu Toh Bahut Hin Zyada Matlabi Nikla Sultan. Kuch Laakh Ke Sone Ke Liye hazaro Zindagi Khatre Main Dal Li..
Tu Diler Bhi Hai Aur Dariya Dill Bhi.. Tera Naam Sabse Upar Hoga Sultan..
Mujhe Andar Karke Konsa Meddle Milne Bala Hai Tereko.. Adhe Sikke Rakhle.. Do Teen Thappad Maar Aur Baat Khatam Kar.
Tu Bada Hai Na.. Tere Main Zor Jyada Hai.. Par Yaad Rakhna, Jaise Jaise Mera Umar Badhte Jayega Tera Ghatta Jayega… Jaise Jaise Mera Zor Badhta Jayega.. Tera Kam Hota Jayega.. Tab Dikhaunga.. Zitna Mera Baap Mujhe Aaj Marega, Sab Chukta Kar Dunga.. Sudh Sameet. Budh-He Saale.
Jyada Churbi Banneki Jarurat Nahin.. Khuli Kitaab Ho.. Ek Do Panne Hum Padh Lenge To Kya Farak Pad Jayega..
Abe Oh Shayar Band Kar Apni Mehfil.. Nahin To Abhi Shamma Bujha Dunga Teri Main..