Fanaa Movie Dialogues Lyrics (Famous Shayari)
Fanaa Movie Dialogues /Quote: Fanaa (2006) is an Indian romantic crime drama film directed by Kunal Kohli and produced By Aditya Chopra from Yash Raj Films. The movie features Aamir Khan and Kajol on lead role along with Rishi Kapoor, Tabu, Sharat Saxena, Kirron Kher on supporting role.
Fanaa Bollywood movie shows how a blind woman Zooni Ali Beg (Kajol) falls in love with a tour Guide Rehan (Aamir Khan). Fanaa film has a lot of romantic Shayari by Kajol and Aamir Khan. Below are the collection of all famous dialogues and Shayari in writing from the movie.
Also Check: Dangal Movie Dialogues
Aamir Khan’s Shayari From Fanaa Hindi Film
- Humse Door Jaoge Kaise, Dil Se Hum Mein Bhulaoge Kaise … Hum Woh Khushboo Hai Joh Saason Mein Bastein Hai, Khud Ki Saason Ko Rok Paoge Kaise…
- Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte … Jaam Doosron Se Cheenkar Hum Piya Nahi Karte … Unko Mohabbat Hai Toh Aakar Izhaar Karen … Peecha Hum Bhi Kisika Kiya Nahi Karte…
- Aag Suraj Mein Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Padta Hai … Mohabbat Nigahein Karti Hai, Tadapna Dil Ko Padta Hai…
- Bhool Karke Agar Humse Koi Bhool Hui Ho, Toh Bhool Samajhkar Bhula Dena … Lekin Bhulana Sirf Bhool Ko, Galati Se Bhi Hum Mein Na Bhula Dena…
- Pani Se Pyaas Nah Bhuji Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla … Soocha Shikayat Karoon Teri Khuda Se … Par Khuda Bhi Tera Aashiq Nikla…
- Kehte Hai Pyar Mein Neend Udh Jaati Hai … Koi Humse Bhi Mohabbat Kare … Kambhakt Neend Bahut Aati Hai…
- Phool Hoon Gulaab Ka Chameli Ka Mat Samajhna … Aashiq Hoon Aapka Apni Saheli Ka Mat Samajhna…
- Aisa Laga Khuda Ne Rakh Diya Hamare Dil Pe Haath … Liya Naam Hamare Unhone Kuch Aisi Ada Ke Saath….
- Dard Se Aankhen Chaar Kar Lenge, Hum Bhi Imtihaan De Denge … Teri Dosti Ke Khatir Aye Dost, Hum Dushmano Se Bhi Pyar Kar Lenge…
- Agar Andha Hota, Toh Duniya Ki Sabse Haseen Cheez Dekh Nahi Pata … Aap.
- Behti Hai Hoton Ko Seekar, Pachtayengi Aap … Ishq Jaag Uthta Hai Aksar, Aaisi Khamoshi Ke Baad.
- Adhoori Saans Thi, Dhadkan Adhoori Thi, Adhoore Hum … Magar Ab Chaand Poora Hai Falak Pe … Aur Ab Poore Hai Hum
- Na Shehar Dekho Na Biyabaan Dekho … Khuda Ka Eklauta Naam-O-Nishaan Dekho … Bas Aankh Uthao Aur Rehan Dekho…
- Tumhari Khoobsurati Ne Khuda Se Khatta Kara Di … Kahin Khud Se Nazar Na Lag Jaye … Yunkar Tumhe Nazar Na Di
- Tujhe Is Bazaar Ka Dastoor Main Samjha Nahi Sakta … Bik Gaya Joh Woh Khareedar Ho Nahi Sakta..
- Kaash Mein Oon Ka Gola Hota … Aur Unki Ungliyon Mein Lipta Hota.
Read More: Bodyguard Romantic Dialogues